Friday, 12 October 2012

Tum khud nahi jaante

Aapni duniya me kitne mashruf ho tum
tum khud nahi jaante
Khud se kitna dur ho tum
tum khud nahi jaante ....

Kisko kya chahiye
ye raaz to nahi rha
Har raaz jaan gaye tumhare lekin
tumhe kya chahhiye
tum khud nahi jaante ....

Chalne lage jab saath tum
kehne lage har baat tum
Rok liye aap ne aapne kadam
kya hua jo saath the, ab saath nahi
tum khud nahi jaante ....

Yu to hawa me nami hai
phir awaz me tumhari rukhapan kyu
Gar hui ho kuch khata to maaf karna
ya phir khata kya hui
tum khud nahi jaante ...